HD

al

Wednesday, May 9, 2012

Ayat ya Ism-e-Azam Ki Zakat Nikalnay Ka Tareka Method Of Zakat Amal

Zakat Wallpaper
 Zakat Ki Kismain

Ye aik aisa raaz hai jis se hazaron amleen wakif nahin hain sirf kamleen ke irshad ke mutabiq amal kartay rahay aur isi ki taleem dusrom ko detay rahay zayada se zayada kisi sael ke jawab main ye farma detay keh kisi Ayat ya Ism ki zakat sawa lakh hai yani 125000 jo keh 41 din main puri karni hai, is ke siwa ye ilm nahin keh sawa lakh ki tadaad har Ayat ya Ism ki hai aur woh zakat ki kismon main se kis kisam ki zakat hai aya sawa lakh ki zakat ada karnay ke baad is amal se umer bhar ke liye kaam lay saktay hain ya waqti toor par, agar umer bhar ke liye amil ho jaye ga tou har rooz kisi makhsoos tadaad main parhnay ki zaroorat hai ya nahin.

Kisam Awwal: Amil apne naam ke adad ke mutabik 41 din rozana parhay tou woh amal aik dafa kaam de ga, humesha nahin. 
For Example: Agar kisi ka naam Asad hai tou us ke naam ke adad 65 hain tou woh 65 baar parhay ga. 
(Agar aap ko apne naam ke adad nahin pata tou yahan se phuch saktay hain)

Dusri Kisam: Jo amal parhna ho us ke haroof ki tadad jitni ho utni hazar martaba rozana 41 din parhay tou hamesha ke liye amil ho jaye ga. Amil is ka safe zaban ho jata hai phir ba'waqt-e-zaroorat sirf 1 baar parhna kafi hota hai.
For Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Yani har harf ke badlay 1 hazar parhna howa tou ye tadad bahi 4000 

Tesri Kisam: Amal ke jitnay haroof hon, utnay sau (100) martaba rozana parhay. Ye zakat bhi aik hi baar kaam deti hai. Magar kisam awwal se behtar hai.
Example:
Amal = "Ya Wahhabu"
Haroof Ki Tadad = 04
Read = 400 Times

Kisam Charam: Zakat Sagheer: Amal ke qawaed qamri jitnay hon, utnay hi baar rozana parhay, ye zakat amli hai aur moatbar bhi
Example:
"Ya Wahhabu" ke adad qamri hain 14 tou is ko 14 baar hi parhain gey

Kisam Panjam: Zakat Kabeer: Amal ke adad qamri ko haroof-e-amal se zarb do aur hasil zarb ko rozana parho ye zakat sagheer se zayada kawi hai, hamesha ke liye amil ho jaye ga.
Example:
"Ya Wahhabu" 
Amal Ke Adad x Haroof Ki Tadad  =  Zakat Kabeer = 14x4= 56

Kisam Shasham: Zakat Akbar: Amal kabeer ke adad ko phir haroof ki tadad se zarb de kar rozana parhain, ye kabeer se bhi zayada kawi hai keh is Ism ke Mowwakil samnay akar amil se mulakat karain gey.
Amal Kabeer Ke Adad x Haroof Ki Tadad = 56x4 = 224
Kisam Haftam: Zakat Akbaer: Amal akbar ki tadad ko phir haroof ke adad se zarb de kar parhain, ye akbar se bhi zayada kawi hai, is Ism ke Mowakkil khadam ho kar har waqt sath rahain gey.
Example 224 x 4 = 896
Kisam Hashtam: Zakat akbar al-kabaer: ye akhri zakat hai yani amal  akbaer ki tadad ko phir haroof ke tadad se zarb de kar parhain is ko kabriat ahmar ya laal spaid kehtay hain.
Example 896 x 4 = 3584
Agar aap zakat ke baray main ab bhi nahin samajh payay aur aap koi amal karna chahtay hain aur kisi Ism ki zakat yani kitni baar parhna hai tou is baray main bhi yahan phuch saktay hain.

If you will enter your email address here then you will recieve latest posts from quranwallpapers in your inboxQuran, Islam, Wazaif, Ayat, Hadees, Wallpapers, Ramadan, Wazifa:


100 comments:

  1. Please tell me about Turqe Haiwani jalali wo jamali karna and what things we should avoid entire amal.Can you tell me about during amal any dangerous things can happen specially in Isme Azam amal or 40 days and if we count for example YA WADOODO here 2 numbers for YA and four numbers for WADOODO so here total 6 numbers but you counting 4 in the above example please clear my all questios I will be very thankful to you and reply asap Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hum kisi bhi amal ki zakat nikalna chahain for example "YA WADUDU" ki tou is main haroof ki tadad 4 hi ho gi "YA" ko is main count nahin kartay...
      Parhaiz Jalali aur tark haiwanaat: fish, meat, egg, onion wagera se parhez, honey, sirka aur mewajaat se bhi parhez...kht na banwain, nakhun na katain, milna julta sub se takq kar ke khilwat akhtyaar karain, har waqt wazu main rahain...woh darakh jis se doodh nikalta ho us ka koi patta na torain, jhoot na bolain, filmain, ganain na sunain, koi bhi nashay ki cheez na istmal karain, libas saaf rakahain.. behayae ke kamon se bacha jaye, sari namazain parhi jayain, niyat saaf rakhi jaye, kisi ghalat maqsad ke liye na parha jaye, aik hi waqt parhna hai rozana, aik hi jai-e-namaz par, chamray ki bani hoi koi cheez na pehni jaye...

      Delete
    2. jub aap ye amal kar rahay hon gey is doran aap ko jo bhi khawab main nazar aye us ka kisi se zikar na karain aur hisar kar ke amal karna chahiye takay koi cheez nuqsan na pohanchaye, aur jis tarah ke bhi khoofnaaf manzar samne ayain darna nahin chahiye...

      Delete
  2. Salam ,can you please tell me about DUA MUGNI,I read in aurado wazaif book ,if you want to pay zakat of DUA MUGNI so you should recite 25 times daily for 40 days to pay its zakat with turk haiwanat jalali wo jamali,so what do you think 25 times is enough daily for 40 days,canyou please tell me any dangerous views or other things would happen during amal.Can I start this amal after fajar.Is there any permission need for this amal, if so please give me permission. Please reply asap,Thanks

    Allahhafiz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap ne jo dua ka likha hai yani Ism-e-Azam tou ye sahi parhain, "MUGHNI" hai. aur 25 times daily parhnay se 40 days main ye 1000 banti hai jo ke bohat thori hai aap is ISM ki zakat nikalna chahtay hain tou 4000 baar rozana 40 din tak parhain 40min lagain gey aap ko parhnay main. Agar ye bhi aap ko zayada lagta hai tou uper jo methods bataye gaye hain un se help lain.

      Allah Hafiz

      Delete
    2. Is amal ko karnay ki aap ne ijazat mangi hai tou aap Istikhara karain ye sub se behtar hai phir parhain

      Delete
  3. can you tell me my Isme Azam My name is ( MUHAMMAD IRTAZA ALI ), and can WE recite 2 Isme Azam at a SAME time for example YA WAHAB YA RAZZAK. When we paid our Isme Azam or Ayat zakat so then we should recite daily in little amout or if we not recite daily that is fine, our zakat will work for entire life.Please clear my all questions and tell my Isme Azam.Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Asalam u Aliakum! Aap ka name hai Muhammad Irtaza Ali aur is name ke adad kamri 1605 hain 92 Muhammad ke Irtaza ke 1403 aur Ali ke 110 is lihaz se aap ke naam ka Ism-e-Azam ye hai "Ya Khafizu Ya Mu'eedu" in ko apne naam ke adad qamri ke barabar parhain yani 1403 rozana. Yes we can recite 2 Ism-e-Azam at a same time. Aap ne zakat ka pucha hai tou ji haan zakat kisi bhi Ism-e-Azam ya Ayat ki ada karnay ke baad agar rozana thora hi chahay parha jaye tou woh sari zindagi ke liye hai par rozana parhna paray ga.

      Delete
  4. Please also mention the time,whats the best time we should start chilla,can we start Chilla after fajar Namaz or only after Isha prayer we have to start chilla? Is there any bondness of time? Please clear the issues Thanks

    ReplyDelete
  5. Salam,Is website pay app nay (YA MUGHNI)ka amal batay hai for marriage 11000 times awal aakhir 100 time durood sharif for 11 days, to is amal kay doran kisi kisam ka koi problem to nahi hoga maslan koi khatarnak cheezain nazar aaingi wagaira aur kia Mokel samnay aaiga aur kia wo hamaray tabay hoga after this amal,Aur amal kay kitnay time bad shadi hosakti hai, please tafseel say roshani dalain meray sawalon par,aur koi igazat ki zarorat to nahi agar hai to kia mai yeh amal karsakta hon. Thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Is ko itna parhnay se Mokel nazar nahin ayain gey aap ko parhnay ki ijazat hai aur aap 5 waqt ki namaz bhi parhtay rahain jald Shadi ke asbab ban jatay hain is ko parhnay se agar asbab nahin hain tou Allah bana dey InshaAllah Shadi ke liye Surah Furqan ki ayat 54 hai, Surah Imran ki ayat 73, Surah Yaseen ki 36, Surah Taha ki 131, Surah Rahman 11 baar 11 din aik hi waqt aik hi jagah 11 baar awal akhir Darood Sharif start karain jumayraat ya jummay ko in main se koi bhi wazifa kar lain aur Ya Lateefu ka wird karnay se bohat jald Shadi ke asbab ban jatay hain.

      Delete
  6. salam,if kisi kay name kay 2 Isme Azam hon to kia us ko dono isme azam ki alal alag zakat ada karni paray gi ya aik sath hi parha jai,wasay dono ki alag alag harofe abjad hain maslan YA LATIFU YA AWAL, Ya Latifu kay 4 huroof hain aur Ya Awal kay 3, to kis tarha dono ko parha jai agar zakay Khabeer ada karni ho to, aur is doran Maukil khatar nak shakal ya koi khatarnak manzar dekhata hai,zarori hai kay jo amal karay sab ko yeh sab nazar aai ,ya yeh sab sirf sotay waqt qahab main nazar aain gay aur Ijazat kay lya Istikhara karlain ya kisi buzrug say Ijazat lana paray gi rohani support kay lia please jaldi reply karain thanks

    ReplyDelete
    Replies
    1. Waliakum us Salam..! dono ko aik sath parhain jahan 4 haroof thay wahan 7 haroof ki zakat ada karain aur Zakat Kabeer main aap ko koi Mowkel nazar nahin aye ga aur Istikhara sub se behtar hai is ke elawa kisi bagurz se ijazat bhi lay saktay hain.

      Delete
  7. Salam app nay shadi kay lya YA MUGHNI ka amal bataya hai 11000 roz parhna hai 11 days tak ,aap nay khan hai kay amal kay aakhir main parda gaib say kuch nazar aaiga us ka kia matlab hai ,aur amal kay kitnay time bad shadi hosakti hai ,aur yeh amal kia tested hai ya mujrib amal hai shadi kay lya .please reply soon thanks

    ReplyDelete
  8. yahan parda ghaib se ye murad hai ke Allah aisi jagah se insan ka kaam bana deta hai ke insan ko tasawar main bhi nahin hota har amal tested hi hota hai bas mukammal yaqeen se parha jaye...

    ReplyDelete
  9. Salam,mera aik sawal hai (Aurado-Wazaif) ki book mai DUA MUGHNI jo kay 4-5 pages ki hai us ko rozana 25 times parhna hai 40 din tak zakat ada karnay kay lya ,aur us mai Tark Jalali wo Jamali kay sath karna hai.ye mal wo dolat kay lya mujrib hai ,to kia aap is kay baray mai thora dekh kar tafseel say batasaktay hain.aur is amal kay doran koi mokel ya koi mushkil to paish nahi aai gi,aur Tarke jalali wo jamli kis tarha ka karna hai ,aur yeh zarori hota hai kia,agar khudana khasta koi laparwai hogai to koi mushkil ya Rajat ka khatra to nahi,aur kia is ki zakat ada karnay say Mokel bhi qaboo hojata hai? please reply soon Thanks

    ReplyDelete
  10. @Muhammad Irtaza Ali

    Agar woh jo aap ne batayi hai online hai tou us ka link send kar dain ya phir woh dua jis ka aap ne pucha hai woh mujhe email kar dian main aap ko is ke baray main sari information yahan par bata doun ga. Skuriya...

    ReplyDelete
  11. Salam,mera aik sawal hai (Aurado-Wazaif) ki book mai DUA MUGHNI jo kay 4-5 pages ki hai us ko rozana 25 times parhna hai 40 din tak zakat ada karnay kay lya ,aur us mai Tark Jalali wo Jamali kay sath karna hai.ye mal wo dolat kay lya mujrib hai ,to kia aap is kay baray mai thora dekh kar tafseel say batasaktay hain.aur is amal kay doran koi mokel ya koi mushkil to paish nahi aai gi,aur Tarke jalali wo jamli kis tarha ka karna hai ,aur yeh zarori hota hai kia,agar khudana khasta koi laparwai hogai to koi mushkil ya Rajat ka khatra to nahi,aur kia is ki zakat ada karnay say Mokel bhi qaboo hojata hai?
    Answer:ya dua Mughni online nahi hai yeh (ARADO WAZAIF)ki book noor publishers karachi ki haijo bhaut mashoor hai page no 416 aap check karsaktay hai please reply soon Thanks

    ReplyDelete
  12. @Muhammad Irtaza Ali

    Aap us 416 no page ki tasweer bana kar mujhe email karain takay main sahi tarah aap ko samjha sakon, aur agar aap rizk aur dolat ke liye parhna chahtay hain tou is site main Surah Talaq ka amal rizq ke liye jo aaj main post kar raha hon woh parh lain bohat shandar wazifa hai woh.

    ReplyDelete
  13. Salam,Ramzan Muubarak,aik ya do sal pehlay tv program XPOSED ARY TV main Syed Allam Muhammmad Ali Shah with Waqar Zaka kay program main Maukil ko kaboo karnay kay naray mai bataya gya tha agar app Maukil pana chatay hain to rozana 11000 times (WALLAHO SAMI-UL-ALIM)41 days tak parhain aik waqt muqarrar kar kay,sawal yeh hai kay kia is tarha Maukil pa saktay hain ,aur is ki kia shart hai Tarke Haiwani Jalali wo Jamali karna hoga ya nahi us program main nahi batay gya,aur us doran Maukil koi khofnak shakl ya koi normal shakal mai aaiga ya nahi during amal,aur yeh amal kia asani say kia jasakta hai ,please thori tafseel say roshni dalain and reply soon Thanks.

    ReplyDelete
  14. @Muhammad Irtaza Ali

    Mowkal ke baray main jo maine aap ko email bhejhi thi aap us email ko hi again parh lain tou phir is amal ki zaroorat nahin hai... Shukriya umeed hai aap samajh gaye hon gey

    ReplyDelete
  15. Salam Mowkal kay baray mai mujhay aap ki koi email receive nahi hoi please dobara send kardain my email adress is (irtazaali1@hotmail.com).Acha aap nay YA MUGHNI ka jo amal batay tha 11000 times for 11 days tak to kia us mai tarke haiwani jalali wo jamali bhi karna haiya nahi ,please reply soon thanks

    ReplyDelete
  16. @Muhammad Irtaza Ali
    is amal main tarke haiwani jalali aur jamali khuch nahin karna sirf paak saaf ho kar parhain aik hi waqt aur baray-e-meharbani jis amal ke baray main puchna chahain usi ke neechay us ke paray main comment karain shukriya.

    ReplyDelete
  17. Salam,aik ya do sal pehlay tv program XPOSED ARY TV main Syed Allam Muhammmad Ali Shah with Waqar Zaka kay program main Mawkil ko kaboo karnay kay baray mai bataya gya tha, agar app Mawkil pana chatay hain to rozana 11000 times (WALLAHO SAMI-UL-ALIM)41 days tak parhain aik waqt muqarrar kar kay,sawal yeh hai kay kia is tarha Maukil hasil kar saktay hain ,aur is ki kia shart hai Tarke Haiwani Jalali wo Jamali karna hoga ya nahi us program main nahi batay gya,aur us doran Mawkil koi khofnak shakl ya koi normal shakal mai aaiga ya nahi during amal,aur yeh amal kia asani say kia jasakta hai ,aur mai kiayeh amal karsakta hon ,kia is kay lya muhay ijazat hai,please thori tafseel say roshni dalain and reply soon Thanks.

    ReplyDelete
  18. Salam Alkum

    Please help us to read all your Wazifa small request to you please translate in romman english
    all your wazifa

    Ghouse shareef

    ReplyDelete
  19. salam,My name is Rab Nawaz What is my isme Azam and it's zakat. what is the benefit to recite my own isme Azam. and how much i recite.

    wasalam

    ReplyDelete
  20. Asalamu aleikum wa rahmatullah hi wa barkatu......
    Ya allahu ke saath agar jalla jallalahu pada jaye toh kaise hai? aur rozana kitna padna chahiye mera naam matin hai

    ReplyDelete
  21. ya allahu ka 125000 ka amal pura complete hone ke baad 100 martaba hi padna chahiye ke mey jitna baar chata hu utni baar baad mey bhi pad sakta hu....

    ReplyDelete
  22. @Matin . .ahle sunat wal jamat
    Waliakum us Salam..! Ya ALLAHU ke sath agar ye bhi parhain gey tou aur bhi acha hai aur aap ke liye Ism-e-Azam Ya Mateenu hai jo ke aap ko 500 baar rozana parhna behtar hai aur Ya ALLAHU agar parhna chahain tou woh bhi 500 baar zaroor parhain zayada

    ReplyDelete
  23. @Matin . .ahle sunat wal jamat#
    Zaroori nahin ke aap sirf 100 bar hi Ya ALLAHU parhain aap is tadad se zayada bhi parh saktay hain balkeh ye tou aap ke liye aur bhi acha ho ga ke aap jitna parhain utna baes-e-rehmat hai...

    ReplyDelete
  24. Asalamualaikum wrwb
    Isme e-Azam maloom karne ka kia tareeqa hai. or mera isme azam kia ha.

    ReplyDelete
  25. @Rab Nawaz
    isi page par maine apne naam ka Ism-e-Azam nikalnay ka method aaj hi post kar diya hai aap woh seekh lain aur aap khud apne naam ka Ism-e-Azam find kar saktay hain

    ReplyDelete
  26. @Anonymous
    zakat nikalnay ka treeqa main yahan bata chuka hon aap woh post read kar lain aur Ism-e-Azam ka tareeka maine aaj hi post kiya hai.

    ReplyDelete
  27. slmz can you please tell me which isme azam to recite my name is tahira kauser can you let me know the adaad

    ReplyDelete
  28. @CRL
    Aap ke naam ke adaad 946 hain aur aap ke name ke liye Ism-e-Azam hai YA KHALIQU YA LATEEFU YA BADIU aur ye aap 946 baar aap ko parhna ho ga

    ReplyDelete
  29. ASalam O Alikum ,mera sawal hai kay koi bhi wazeefa mai jis mai tarke hawani jalali wo jamali karna hota hai to kia us mai Mowkel ki hazari honi zarori hoti hai ya nahi? aur Mowkel amal kay doran bhi hazir hota hai ya amal kay aakri din mai amal kay iktatam pay hazir hota hai.please reply soon thanks

    ReplyDelete
  30. @Muhammad Irtaza Ali
    w.a! Mowkel ki hazri zarori nahin hoti, aur zarori nahin ke Mowkel amal ke ikhtatam par hi hazir ho amal ke doran bhi hazir hotay hain, magar ye bhi such hai ke Mowkel ki hazri ke bina bhi kaam ho jatain hain...

    ReplyDelete
  31. Sir please ap muje ye bata saqte ha ka ager hum na kisi maqsad ya kam ko pora karana ho to Ya-Mujebo aur Ya-wahabo ka wird kar saqte ha aur in ki zakat Akbaer nikal saqte ha.Aur Sir ager hum ye amal mokel ka lie na kare bulke apne maqsad ko pora karne ka lie kare to koi mowkel tang to nahi kare ga. Aur Sir kindly ye bi bata de ka ager kisi Ism ki zakat pay ho jae to hum us Ism se kese koi bi kam pora karwa saqte ha.

    ReplyDelete
  32. ya allahu ISME jalali hai....maine suna hai iski zakaat ada karne ke baad isse jadu ki kat ho sakti hai ....uske lye isko kaise istimaaal kiya jai?

    ReplyDelete
  33. @Hasan Tahir
    Jee aap YA MUJEEBU aur YA WAHHABU ka wird kisi jaez maqsad ya kaam pura karnay ke liye kar saktay hain aur in ki zakat Akbar bhi nikal saktay hain aur in ko ya kisi bhi ALLAH ke mubarak naam ko agar apne maqsad ko ke liye parhain aur Mokel ki hazri ke liye na karain tou in Mubarak namon ke Mokel tang nahin kartay. koi bhi amal start karnay se pehle sadqa dena chahiye aur Jumairaat ya Jummah ko naye Islamic mahinay ke start main shuru kiya jaye amal aur koi bhi jaez kaam pura ho sakta hai agar zakat ada kar dain par aap ko hamesha ke liye phir woh MUBARAK ISM parhnay paray ga tou ye tab hi hoga...

    ReplyDelete
  34. @Matin . .ahle sunat wal jamat

    aap jadu ka asar khatam karnay ke baray main phuch rahay hain tou aaj maine aap ke liye post ki hai jis ka title Jadu Ka Asar Na Ho hai ye post aap ko is blog ke home pahe par milay gi aap parh lain.....

    ReplyDelete
  35. EID Mubarak to http://quranwallpapers.blogspot.in/

    ReplyDelete
  36. mere shauhar feeroz ahmed mujhse shadeed naraz hain or mujhe leker zimmedar nahin hain..aur ab talaq tak ki naubat aagayi hai...
    main apna rishta sambhalna chahti hoon..chahti hoon ki woh woh meri or mere aaney wale bacchey ki zimmedari uthayen or ishta theek ho jaye..
    main 7.5 mahine ke hamal se hoon or is halat mein kiya ja sakne wala aasan or mujarrab wazifa chahti hoon..[ameer e ahle sunnat ki mureed hoon]

    ReplyDelete
  37. @shainda

    ALLAH aap par apna fazal aur karam karay aur aap ke shokar ke dil main aap ke liye mohabbat paida ho jaye Ameen... aap ko main 3 wazifay bata raha hon in main se koi sa 1 wazifa kar lain aur yakeen se karain Allah aap ke liye Insha'Allah sub acha kar de Ameen... Wazifa aaj hi maine aap ki liye post kiya hai home page par ja kar aap parh lain post ka name hai Miyan Bivi k rishtey main mohabat ke liye 3 Wazifay...

    ReplyDelete
  38. bahot bahot shukriya janab ...main inshallah zarror aaj se hi shuru karti hoon...aap dua kijiye ki mera amal maqbool ho or meri aaney wali aulad ko maa or baap dono ke saaye mein parwarish naseeb ho...aameen summa aameen...allahumma aameen

    ReplyDelete
  39. @shainda
    Aap ko jo wazaif maine bataye hain us main Surah Ta'ha wala wazifa jub bhi azmaya gaya asar har baar jald howa aap parh kar dekh lain mujhe pura yaqeen hai Allah par. Aap fikar na karain Allah se dua hai ke woh aap ka ghar tootnahy na dey aur aap hamesha khush rahain Ameen Sum Ameen

    ReplyDelete
  40. SaLam
    Please if you can tell me any wazeefa for 2 year old son who has not started walking doctors cant understand whats wrong. Otherwise he is healthy happy mashAllah..
    Thanks
    Mother

    ReplyDelete
  41. assalam alaykum
    janab aapko batate huye bahot khushi ho rahi hai ki aapke bataye huye wazifey [surah taha ayat no 39] padhne se meri zindagi fir sanwar gayi..patthar dil dil insan pighal gaya..mera shauhar mere liye aansu baha raha hai..ekdum takhta palat ho gaya...allah ka shukr hai..
    ab aap mujhe batayen kya main isko continue rakhoon ya nahin..
    din mein ek baar sau dafa padhne ki niyat hai..agar zada padhna chahiye toh bata dijiye..
    aapka bahot shukriya
    allahafiz

    ReplyDelete
  42. mera nam saima malik h r main YA GHANIU ka wazifa jo apki web per mojood h kerna chahti hun mujhy is k baray main guide kerain plz.....

    ReplyDelete
  43. @gola
    Masha'Allah ye tou bohat acha ho gaya, mujhe bohat khushi hoi hai ke Allah ne aap ka ghar phir se abad kar diya hai. Aap Surah Ta'ha ki ayat number 39 ko Allah ka shukar ada karnay ki niyat se aur apna ghar abad hi rehnay ki niyat se abhi parhti rahain abhi chorna nahin aap ne ye ayat aap ka ab sari zindagi sahara rahay gi Insha'Allah rishta tootay ga nahin ab. taqreeban kaam se kam 21 din tak zaroor parhna hai is ayat ko. Ab aap Allah ka jitna shukar ada kar sakti hain karain, Allah ne aap ka kaam bana diya hai aur haan jo aap ne apne husband ke liye parha hai us ka zikar apne shohar se bilkul na karain aap, jub bhi kabhi un se koi takleef pohanchay yehi ayat parhain aap. Duaon main yaad rakhain behan Allah hafiz

    ReplyDelete
  44. sir plz reply my question..

    ReplyDelete
  45. @Anonymous
    Waliakum us Salam..! Aap ne apne baitay ke baray main baat ki ke woh abhi tak chal nahin pa raha. Aap Surah Al-A'raf ki Ayat no 195 ko parh 313 martabah parh kar apne baitay par dam karain aur pani par dam kar ke pilayain, Insha'Allah aap ka baita chalnay lagey ga. Surah Al-A'raf ki Ayat no 195 ko sara nahin parhna sirf itna parhna hai jis ka tarjama ye hai

    "Bhala un ke paon hai jin se chalain ya hath hain jin se pakrain ya ankhain hain jin se dekhain ya kaan hain jin se sunain?" ~ Surah Al-A'raf verse 195

    ReplyDelete
  46. @Anonymous
    Saima Malik aap ke kaha hai ke Ya Ghaniyu ka wazifa aap karna chahti hain is baray main guidness chahiye aap ko tou aap wazifa kis liye karna chahiti hain kyoun keh har kaam ke liye mukhtalif tareeqa hota hai wazifon ka

    ReplyDelete
  47. mein jis say shadi kerna chahti hun us k lyee kyn k woh lerka bahir rehta h main chahti hun k woh jald wapis aa jayee....

    ReplyDelete
  48. @Anonymous

    Agar woh larka bahir rehta hai tou apni hajat ko zehan main rakh kar aap "Ya Musabbibal Asbaab" parhain ya phir din main kam se kam 1100 baar Darood Khizri parhain ya phir agar bohat jaldi aap apni jaez khawahish ko pura karna chahti hain tou Darood Tanjina 100 baar har namaz ke baad aur 313 baar isha ki namaz ke baad parhain Insha'Allah aap ka kaam jald ho jaye ga. aur ye teenon wazifay bohat zayada asar rakhtay hain beshak azma kar dekh lain.

    ReplyDelete
  49. SALAM bhai mein YA HALEEM ki zakat dena chahta hoon plz mujhe iski tadat or tareeka bta den

    ReplyDelete
  50. Asslam o Alaikum
    JazakAllah app ka bohat shukrya kay app nay meray son kay liay dua batai. I wil start it it inshAllah today.
    Allah ko bohat dain Ameen.

    ReplyDelete
  51. Salam
    Please mughay rizq kay liay dua bata dain. Meri kabhi job khatam ho jatee hay or kabhii hours kam ho jatay hain. May naay uk say degree ki hay magar us kay mutabiq job nahii milti. Her tarf say inkaar hota hay.
    Please may bohat problems may hoon.
    Thanks

    ReplyDelete
  52. mara nam faysal hai main nay kuch saal pahlay AL MUGHNI aur ALLAH HUSSAMAD ka wazifa 125000 dono parhay hain aur main us kay bad say rozana 100 dafa dono parhta hoon maray pass koi sahi guide line nahi hah abb mughay batain main sahi karta hoon? yahh pher mughay kya karn chahia?

    ReplyDelete
  53. @Anonymous
    Faisal aap ne woh wazifa kis maqsad ke liye parha tha

    ReplyDelete
  54. ( faysal ) main kuch sal pahlay bohat ziada financial crises main aya tha khana pena ke mushkil ho gawi the pher bad main pat chala kesi nay sifly kar dia hah us ka to ilag kar wa liya tha pher mugha kesi nay al mughni aur allah husamad parnay ko kaha pher main nay pharh liya aur us kay bad say rozana parhta hoon kah mali halat bahtar ho sakay.

    ReplyDelete
  55. @Anonymous
    Aap ko kisi ne jo parhnay ke liye bataya tha woh aap ne kitna arsa parha? aur kitni baar parha?
    Main aap ko aik tested wazifa rizq ka bata raha hon ye home page par aap ko milay ga aap usi tarah parh lain jis tarah likha hai.Aik Mujarrab Amal ke name se post upload kihai aaj hi

    ReplyDelete
  56. @Anonymous

    Aap ke liye rizq k wazaif home page par hain check kar lain aaj hi post kiya hai

    ReplyDelete
  57. @Anonymous
    Behan aap ki duaon ka shukriya... ALLAH aap ke betay ko jald us ke peron par chalay de Ameen... bas woh jo bataya hai parhain aur jo woh chalna shuru ho jaye tou mujhe zaroor bataeyay ga shukriya...

    ReplyDelete
  58. @imran kahn
    Imran Khan aap ko 41 din tak 4000 baar Ya Haleemu parhna paray ga is ki zakat ada karnay ke liye... phir jagah ki qaid nahin rahay gi

    ReplyDelete
  59. Assalamu alaiykum warahmatullahi wabarkatahu.
    Hazrat Aamil sahab:
    mera name Naeem Ahmad hy
    sahab me surah fateha ka mokel sy jayaz madad lena chahta hun mene is amal k bary me padha he,
    chunki is amal ko surah fateha ka mokel ka recod play krke so jana padhta h, to kya me me ek hi room jismy mammi jan or bhai k sath sota hun waha me is amal ko ear phone kan me lga kr so jaung or agarbatti ko chor kr antar lga du room me is amal me koi jalali jamali parhej nhi h to isy krna chahta hun ap tafsir se ishlah kre or dua bi kre.
    jazakallah hu khair
    wa salam

    ReplyDelete
  60. Aslamo Alaikum
    Bhai app mughay koi dua bata dain meri beti 4 saal ki ho gayee hay magar sahee tarah bol nahi paa rahee. Usay school may bhii provlem ho rahee hay. May perashan hoon. Shukrya.
    Saira

    ReplyDelete
  61. Salam
    Mughay beti kay liay dua chahyiy. 4 saal kii hay magar sahee tarah bol nahi patee. Doctors kay paas bhi ja raee hay magar faraq nahi. School may usay problem ho raee hay bohat.
    Bohat upset hoon.please meri help ker dain.
    Saira

    ReplyDelete
  62. (faysal) main nay yah mughni 125000 parha 41 days main aur allah hussamad parha 125000 41 days main is ko 10 years ho gaway han aur us kay bad say main rozana dono 100 100 martaba parhta hoon mughay ap isi main bahtri kay sath batawan kis tarhan yah dono parhoon.

    ReplyDelete
  63. @Anonymous
    aap ne bataya hai ke aap 10 saal se parh rahay hain par aap Yah nahin Ya Mughni parhain aur dolat ke liye Surah Talaq ki ayat no 2 aur 3 ko parhain tou Allah Ta'ala aap ki aisi jagah se madad farmayain gey jahan se aap ka wehmo'guman bhi na ho. aur ye kalmaat bhi jitna parh saktay hain parhain "La ilaha illallahul malikul haqqul mubeen."

    ReplyDelete
  64. @Anonymous
    Main aap ko aap ki beti ke liye 3 amal batata hon in main se koi sa bhi kar lain...
    1: Aap "Ya Shafi" rozana 313 baar har namaz ke baad parh kar pani par dam karain aur apni beti koi pilayain InshaAllah bolnay lagey gi.
    2: Ya Salamu 111 baar har namaz ke baad parhain aur pani par dam kar ke pilayain.
    3: Bismillah ko pura parhain 786 baar rozana aur us ka pani bachi ko pilayain Inshallah aap ko Allah jald khushi naseeb kar de ga Ameen Sum Ameen...

    ReplyDelete
  65. @Anonymous
    aap ke dusray comment par maine reply de diya hai aap ke sawal ka...

    ReplyDelete
  66. Aap ke sarah recent posts mey apne English mey bhi translation diya hai uska bahut bahut shukriya.......................

    ReplyDelete
  67. "YA ALLAHU YA RAHMAN YA RAHIM" isme kastrat se padne ke kya kya Fayde hai... please zara bata de..........

    ReplyDelete
  68. @Matin
    ye teenon Allah ke mubarak names Bismillah main atay hain aur hum sub jantay hain ke agar zindagi main bhi bhi tarah ka masla ho kisi bhi tarah ki koi hi hajat ya maqsad ho tou us ke liye sirf Bismillah ka wazifa hi kafi hota hai aur agar in teenon names ki fazilat ahmiyat par roshni dali jaye tou warq khatam ho jayain gey par in ki barkaton ki fazeelat khatam nahin ho gi. Bus 1 sentence kahon ga ke ye 3 Asma ul Husna wa wird karnay se aap ki har problem Allah ki madad se solve ho jati hai.

    ReplyDelete
  69. Aslamualicum Sir Kya ap muje ye pata saqte ha ka zakat ada hone ka bad us Ism se kesay Kam lia ja saqta ha ka ap us Ism ko Sirf 1 dafa parho to Foran kam ho jae Sir me ne is se phele bi kafi Question kye thay magar us me se kisi 1 ka jawab bi nahi aya Kindly is ka jawab lazman dejie ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. W.A..! zakat ada honay ke baad koi sa bhi jaez kaam Allah chahay you ho jata hai

      Delete
  70. Ji salma name he mera.muje gola sis wala wazifa batade jo surah taha ka hubby k liye diya tha.thnx

    ReplyDelete
    Replies
    1. Surah Ta'Ha ki verse 39 ko uthtay baithtay wazu main jitna ho sakay parhain aur namaz na chorain...

      Delete
  71. Salam,

    mje 1 confusion hy. kindly iska jawab dejeay

    yea uper 8 kisam k zakat k tariky hn, kia yea 1 k bad 1 ada krni hy???

    ar kia hr zakat ka time period 40 din hy???

    ReplyDelete
    Replies
    1. W.A,
      Ye aik ke baad aik nahin ada karni in mein se jo aap ko easy lagti hai woh ada kar lain aur jitni zayada zakat ada ki jaye gi utna zayada faeda hasil hota hai.

      Delete
  72. asak,

    mera naam shehbaz husain naqvi, mein naam ke hisab se zakat dein na chahta hoin. tereka detail mein bata dein

    ReplyDelete
  73. Salam brother how are you?

    Can you please tell me dua I am in trouble my husband n my kids are living in uk for 10 years my husband brother died and he had to go for 5days . But in funeral his wallet was lost and now he a
    Have applied for replacement. They say it takes only 5 to 7 days but its been a month no reply from their side.

    I am here alone with 2 kids . If he gets more late he will loose his job. Please tell me any wazeefah to bring my husband back.

    ReplyDelete

 

Stats

eXTReMe Tracker
who's online

Total Pageviews