HD

al

Wednesday, May 9, 2012

Amal Ba Mokel Ke Mutalik Khasusi Hidayaat - Mokelat Ka ilm Mokil Muwakkil

"Amal Ba Mokil Ka Tarika"
Method Of Amal Ba Mokil

Youn tou har amal ba mokil hota hai kyoun keh har ayat aur ism balkeh har harf ke mokil hotay hain. Jis ki tilawat karnay se woh mokil jo us harf ya ism ke tabae hotay hain, Allah ke hukam se amil ke har kaam ko sar anjaam detay hain. Magar istlah aamleen main amal ba mokal usay boltay hain jis ke zariye mokil ko amil apnay tabea banata hai aur mowakkil amil ke samnay achi ya khofnaak shakal main zahir ho kar amil ki itaat ka wada karta hai aur ayenda ke liye us ko bulanay ka tareka daryaft kiya jaye tou woh takeqa bhi khud hi batata hai.

Mowakkil Ki Kismain:
Har Ism ke 5 Muwakkil hotay hain.
1: Mowakkil Alwi jamali
2: Mowakkil Alwi jalali
3: Mowakkil Safli jamali
4: Mowakkil Safli jalali
5: Mowakkil Kudsi

1: Muwakkil Kudsi.....ahal-e-takwa ya ahl-e- ALLAH hi tabay kar saktay hain har aik ki taqat se bahir hai.
2: Muwakkil Alwi Jalali aur Jamali..... ko tabay karna intihai muskhil aur khatarnak hai har aik ke bas ki baat nahin is main nuksan ka bhi khatra hai.
3: Muwakkil Safli Jalali aur Jamali.... main kisi ki qaid nahin, har aik fard kar sakta hai, aam toor par amal safli mowakkil main amil na'jaez amoor ki taraf zayada mael rehta hai aur mowakkil se bhi asay hi kaam laina chahta hai jis ki wajah se akal ka nuksan yani pagal ho sakta hai aur jani aur maali nuqsan bhi uthana parta hai, agar sirf jaez amoor main in se kaam liya jaye tou kisi kisam ke nuqsan ka andesha nahin.
Amal Ba Mowakkil Alwi, Jamali aur Jalali kartay waqt niyat sadiq hai tou is ka amil amoor khair hi ki taraf mael hota chala jaye ga. Yahan tak ke Mowakkil us se manoos ho kar us ke tabae ho jatay hain.

Hidayat Amal Ba Muwakkil:
1: Har amal ba mowakkil main tehreer ho ya na ho tark jalali aur jamali zaroori hai, jis tarah amal se awwal aur akhir Durood Shareef 3 baar ya 7 baar ya 11 baar parhna zaroori hai.
2: Zuban ko qalb ko buri bataon aur khayalaat se mehfooz rakhna zaroori hai.
3: Pakeezgi-o-taharat ke sath achi khushbu main basa hona zaroori hai keh mowakkil paki-o-taharat aur khushbu ko bohat pasand kartay hain.
4: Jism-o-Libas ki paki ke sath qalb-o-neeyat ki paki bhi shart hai, kisi na'jaez khayal ko dil main jagah na dain warna nuqsan ka khatra hai.

Amal Ba Mowakkil Ka Ehsan Tareka:
Method Of Amal Ba Muwakkil:
In sharayat-o-hidayaat par amal karnay ki salahiyat-o-kabliyat aur ahliyat honi chahiye. Aur ye keh amal ba mokal karay tou mokal ko tabay ya samnay hasir honay ki niyat se na karay. Amil ka maqsad ye ho keh hamara falaan kaam maslan adaegi qarz, mulazmat ka milna, falaan shuks jo ghayeb hai hazir ho, falaan ki biwi jo maikay main baith gayi hai shohar ke ghar ajaye wagera wagera... ye tamam amoor mokil ki hazri ke baghair bhi puray ho saktay hain tou kya zaroorat hai keh mowakkil ko apnay tabay kiya hi jaye. Aisi surat main kisi amal ba mowakkil ko 3 din ya hasb-e-hidayat jitnay dinon ka ho ba'sharayat karain aur niyat sirf ye ho keh hamara falaan kaam ho jaye (jaez kaam) ya jub bhi mera koi jaez kaam ho aur main us kaam ke liye Ism paak ka wird karon tou mera kaam anjaan diya jaye. INSHALLAH woh kaam anjaam pata rahay ga aur aap amal ke munkata honay aur rijat honay takleef-o-nuksan uthanay se bhi bachay rahain gey. Is tarah ye bhi mumkin hai keh mowakkil khud samnay ajaye.


If you will enter your email address here then you will recieve latest posts from quranwallpapers in your inboxQuran, Islam, Wazaif, Ayat, Hadees, Wallpapers, Ramadan, Wazifa:


14 comments:

  1. aasalamu alikum ji kya aap hume process bathayeange kya aur kitna din karna hai aur kaise hai karna hai aur kis time aur kis din karna hai boliyea ji aur aapka email id boliyea hume ji i am waiting for ur reply therocky141@gmail.com thisis my email id
    faraz kya rehna chahiyeah aur kya padna chahiyea plz tell me the process and wat i have to read to how many ties plz tell me i am aiting urgent reply needed

    ReplyDelete
  2. aasalamu alikum ji kya aap hume baatha sakte hai kya yeah amal kaise kar sakte hai aur process kya hai aur kitne din karna hai aur parez kya hai aur kya paadna hai iske liyea boliyea plz reply me urgently therocky141@gmail.com this is my email id waiting for ur reply

    ReplyDelete
    Replies
    1. Amal ba mowakkal karnay ke liye parheez jalali aur jamali karna parta hai par main aap ko yehi mashwara doun ga ke aap koi bhi amal mowakkal ko samne lanay ki niyat se na karain jub aap ka kaam us ko samne lanay ke bina ho sakta hai phir kyoun? behtar yehi hai ke aap jo bhi Asm-e-Azam ka wird karna chahtay ho tou ya koi bhi Quran hi Ayat ka tou mowakkal ho hazir karnay ki niyat se na karo. Aur wese 41 din ka amal hai pehle zakat nikalni hoti hai phir insan us Ism-e-Azam ka amil ban jata hai aur agar woh rozana parhta rahay thori tadad main baad main tou jis jaez kaam ki dil ko arzo ho Insha'Allah Khuda ke karam se puri ho jati hai. mera aap ko yehi mashwara hai...

      Delete
    2. aasaamualikum ji kya aap aapka email id batha sakte hai kya kyuke hum aapse kuch malumath karna chahte hai aur app kis time per online per maujuud hothe hai plzz bathayea maine meri email id already rakha hai aapka reply ka intezaar kar raha huu ji

      Delete
    3. aapne kaha hai naa ki parheez jalali aur jamali karna padtha hai kya aap detail may batha sakte hai issko kaise karte hai aur kya paadna padtha hai aur kitne din plzzz trry to understand kiska wirrdh karna padega aur kitne bar aur kitne din thak kya koi 3 din ya 6 din ka amal hai kya karne ke liyea hum intezar kar rahe hai aapka reply ka plzzz tell me wat i have to reciet and how many times and how many days and wat r the terms and conditions

      Delete
    4. neechay Contact Us ki option main email id hai aap us par mujhe email kar dain main aap ko reply kar doun ga...

      Delete
  3. nahi jaraha hai ji email kitne bar try kiyeo tho bhi
    aasalamu alium ji kya aap bathayenge kya bah moukil ka amal kitne din ka hai aur agar hai tho 3 ya 6 din ka amail hai tho plz hume bathayea yea i am waiting for ur reply tell me the process and wat i have to recite i am waiting for ur reply agar aap process purah detail se batha denge tho bohat accha hoga itsa my humble request mera email id per mujhe mail kar dijiyea hume bohat thaklef hai ji warna itna request nahi karte ji aapko plz jitna jaldi hosake tho utna jaldi reply dijiyea yaar emai id tho batha dho warna email tho karo

    ReplyDelete
  4. aasalau alikum ji mujhe kuch bhi email nahi aaya hai ji i had check ji

    ReplyDelete
  5. ji ab thak hume koi bhi email nahi aaya ji can u plz tell me when and with which email id u had sent mail ji plz tell me jii therocky141@gmail.com this is my email id jii

    ReplyDelete
  6. therocky141@gmail.com par hi aap ko email ki hai maine 5/23/2012 ko

    ReplyDelete
  7. Email me at Quranwallpapers@hotmail.com

    ReplyDelete
  8. amal kya hia bolo na, baigannn

    ReplyDelete

 

Stats

eXTReMe Tracker
who's online

Total Pageviews