HD

al

Thursday, August 16, 2012

Dua-e-Hajaat Bohat Mujarrab Dua Hai Ye Sirf 21 Din Parh Kar Is Ka Asar Dekhain

Dua-e-Hajat 
Tried And Tested Wazifa
Ye tested dua hajat hai is dua ko main khud bhi parhta chuka hon, ab is ki fazilat ke baray main kya kahon bas itna hi kehna chahon ga keh aap is dua ko agar ho sakay tou sonay se pehle kam se kam 41 baar aur agar ho sakay tou 100 baar parhain tou  aur bhi behtar hai phir aap khud mehsoos karain gey keh is ka asar kitna zabardast hai par mukammal yaqeen se parhna lazmi hai, is dua-e-hajat ko rizk, dolat, marriage, qarz, dushmanon se hifazat, jadu se hifazat aur dusri jaez hajaton ke liye bhi parha ja sakta hai.
Benefits Of Dua-e-Hajat:
har tarah ki jaez hajat rawai ke liye ye dua nhayat pur asar aur mufeed hai is ko parhnay se ALLAH Ta'ala ki rehmat naseeb hoti hai. Jo koi ALLAH Ta'ala ki rehmat ka talabgaar ho tou usay chahiye ke har namaz ke baad 1 martaba ye dua parhnay ka mamool bana lay Insha'Allah us ka maqsad pura hoga.

Hasb-e-Mansha Shadi Ke Liye / Pasand Ki Shadi Ke Liye:
Is maqsad ke liye jo koi 2 rakat nafal namaz parhnay ke baad 41 martaba dua-e-hajat parhay us ki Insha'Allah hasb-e-mansha jagah par shadi ho jaye gi.

Har Hajat Puri Ho:
Jo shuks qarz ada karnay ki kuwat na rakhta ho. Karobar main taraqi ka khawahan ho, Dushmanon se mehfooz rehna chahta ho. Dunyavi maal-o-dolat hasil karna chahta ho tou usay chahiye ke har namaz ke baad 1 martaba dua-e-hajaat parhnay ka mamool bana lay Insha'Allah har hajat puri ho gi.
Note: Koi bhi amal karnay se pehle awal aur akhir us amal ke 3,5,7,9 ya phir 11 baar Darood Sharif parha jaye.

If you will enter your email address here then you will recieve latest posts from quranwallpapers in your inboxQuran, Islam, Wazaif, Ayat, Hadees, Wallpapers, Ramadan, Wazifa:


7 comments:

  1. 41 martba roz phrne hy due hajat shadi k lye k ya pher 1 he dafa ya amal krna hy

    ReplyDelete
    Replies
    1. rooz 41 times parhain aur tab tak parhain jub tak kaam na ho jaye.

      Delete
  2. A.O.A!
    Sir may nay khwab may dekha hy k mjy dua e hajat zubane yad ho gae hy or m n khwab may dua e hajat pore parh le hy or m khud he khush ho rahe ho k ya kia mjy yad ho gae hy ya dua lykn jub ankh khole to 6 bj rahy thy subha k or pher may nay fajar ke namaz parhe! kia mre khowab ache hy kia hy is khwab ka matlb????????????

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap dua-e-hajat parhain Insha'Allah aap ki koi hajat jald puri honay ki daleel hai

      Delete
  3. Salaam,

    Takleeq ke liye maafi chahti hon.

    Kya aap us Dua-e-Hajat ko translate kar sakte hon?

    Shukriyaan

    ReplyDelete

 

Stats

eXTReMe Tracker
who's online

Total Pageviews