HD

al

Thursday, July 5, 2012

2013 Shab-e-Barat Nafal Ibadat Method Tarika Namaz 15 Shaban Ke Nawafil

nafl fazeelat fazilat tilawat ibadat wazifa wallpapers images wazaif for shaban shab e barat 2012 in urdu 

































Shab e Baray Lailatul Barat Ki Ibadat Ka Tarika Method
1: Shab-e-barat baad namaz-e-maghrib 6 rakat namaz 2 - 2 kar ke parhain, pehli 2 rakat darazi umer ke liye, dusri 2 rakat dafa bala ke liye, teesri 2 rakat hasool dolat ki niyat se parhain, aur har rakat ke baad Surah Yaseen Shareef aik baar ys Surah Ikhlas 21 baar aur is ke baad dua nisf Shaban al muazam 1 baar parhay.

2: Shaban ki 14 tareekh baad namaz maghrib 2 rakat namaz is tarah parhay ke har rakat main Surah Fatiha ke baad Surah Hashr ki akhri 3 ayaat aik aik martaba aur Surah Ikhlas teen teen martaba parhay.
(Ye namaz maghfarat gunah ke liye bohat afzal hai)

3: 100 Rakat nafal namaz parhay ke har rakat main Surah Fatiha ke baad 10 -10 (dus dus) baar Surah Ikhlas parhay. Is namaz ko (pray) salat al khair kehtay hain, jo shuks ye namaz parhay ga Allah Ta'ala us ki taraf 70 dafa nigah-e-karam farmaye ga aur har nigah main us ki 70 hajatain puri farmaye ga, adna hajat bakhshish hai.

4: Shaban ki 15 shab 8 rakat namaz 2 salam ke sath parhay har rakat main Surah Fatiha ke baad Surah Ikhlas 10 - 10 baar (dus baar) parhay, ALLAH Ta'ala is namaz ko parhnay walay ke liye beshaumar farishtay mukarar karay ga jo usay kabar ke azab se aur dakhil behshat honay kikhush khabri dain gey.

5: Shaban ki 15th Raat ko 14 rakat namaz 7 salam ke sath yani do do kar ke parhay, har rakat main Surah Fatiha ke baad Surah Kafiroon 1 baar Surah Ikhlas 1 baar Surah Falaq 1 baar Surah Naas 1 baar parhay phir salam ke baad Ayatul Kursi 1 baar phir Surah Tauba ki akhri 2 ayaat yani 128 aur 129 ayat ko parhay.
(Ye namaz dua ki kabuliyat ke liye khawah akhrat ki ho ya phir dunya ki bohat afzal hai)

If you will enter your email address here then you will recieve latest posts from quranwallpapers in your inboxQuran, Islam, Wazaif, Ayat, Hadees, Wallpapers, Ramadan, Wazifa:


0 comments:

Post a Comment

 

Stats

eXTReMe Tracker
who's online

Total Pageviews